tera chehra jhil mein khilta hua kanwal ho jaise chand pani mein utar aaya ho jaise sukut nadi mein chhaya hua ret chandi si chamakti hui sargoshiyan chandni mein koi karta hua aahista aahista lab-o-rukhsar ko chumne ki koshish karta hua qanun-e-fitrat se jaise ijazat leta hua jhil ki aaghosh mein jism ko apne dubota hua phir ek dar sa tari hua hae ye sulagte hue jazbaat betab kiye dete hain phir bhi daman-e-sabr thame hue hai ek fitna mere qarib khauf hai mujhe farishta koi dekh raha hai mujhe kyunki bahak jaane par farishta-sifat hone ka dawa main kar nahin sakta mere mahbub se kah do jhil ke kinare na mile is aalam-e-be-khudi mein khud ko main rok nahin sakta kash is tarah wo mujhe mil jae farishta koi na mujhe rok sake