chaha ai zindagi main ne tujhe apne kaamon se fursat mili na mujh ko padhne ko kuchh likhne ko ji tadapta raha fikr-e-ayyam ghar walon ka khayal bachchon ke muskuraate chehre qalam hath se mere chhutta raha dil-e-na-tawan ko bahlati rahi phir bhi git zindagi ke main gati rahi raushan suraj ki kiran aakhir dar aai ummidon ke charagh jal uthe khil utha mera gulshan chahchahane lage parinde kaliyon pe aa gaya tabassum chha gai ghata rang-o-nur ki 'yasmin' git khushi ke phir gane lagi har shai gungunane lagi