ata hui hai tujhe roz o shab ki betabi khabar nahin ki tu khaki hai ya ki simabi! suna hai khak se teri numud hai lekin teri sarisht mein hai kaukabi o mahtabi! jamal apna agar khwab mein bhi tu dekhe hazar hosh se khush-tar teri shakar-khwabi giran-baha hai tera girya-e-sahar-gahi isi se hai tere nakhl-e-kuhan ki shadabi! teri nawa se hai be-parda zindagi ka zamir ki tere saz ki fitrat ne ki hai mizrabi!