bin-laden tora-bora mein hota to aisi mahshari mar jis se pahad surma ban gae zamin rakh ho gai aasman siyah pad gaya kab ka khatm ho chuka hota magar kurra-e-arz par jagah jagah haibatnak aatishin phunkaren karbnak dil-doz chikhen is haqiqat ki ghammaz hain ki bin-laden mera nahin zinda hai ye phunkaren aur chikhen is baat ki bhi dalil hain ki laden tora-bora ke alawa dusre khitton mein bhi maujud hai sawal ye hai ki laden khatm kyun nahin hua kya wo waqai itna zabardast hai ki sare jahan ki majmui taqat bhi us ke aage hech hai kya us ne aab-e-hayat pi li hai ki kabhi mar nahin sakta kya wo qafas bin gaya hai ki apni khakistar se phir paida ho jata hai kya wo shud sikandari hai ki yajuj-majuj ki zabanen use puri tarah chat nahin patin kya wo rawan hai ki us ka ek sar afghanistan mein to baqi nau dusre jahan mein aur kya us ne koi wardan pa liya hai ki sar kat kar phir dhad se aa lagta hai kya wo bhisham-pitama hai ki apni achchha ke baghair mar nahin sakta kya us ne apna clone bana liya hai ki us ka khatma na-mumkin ho gaya hai sawal ye bhi hai ki mizailon ka nishana chuk kyun jata hai kya un ke purze dhile hain ki wo apna tawazun kho baithti hain be-samti ka shikar ho jati hain kya wo andhi hain ki bin-laden ko dekh nahin patin kya un ki binai kamzor hai ki wo laden aur ghair-laden mein tamiz nahin kar patin bin laden koi sach to nahin ki shakuni ki chaal us ke aage nakaam ho jae wo laksha girah se bach kar nikal jae agyat-bass se wapas aa jae us ka chir-haran na ho sake tiron ki shayya par zinda rah jae kahin aisa to nahin ki missilen use marna hi nahin chahatin agar aisa hai to ye mahshari mar kis ke liye ye musalsal yalghaar kyun hairan-o-pareshan arjun krukshetra mein chikhta phir raha hai magar aaj ki maha-bhaarat mein in sawalon ka jawab dene wala koi kirshn nahin koi kirshn nahin