khuda-e-lam-yazal ki bargah mein sar-ba-sujud! ana ki chaukhaton mein jude chehron wale log peshaniyon par ghatte dalne mein masruf hain aate mein sani mutthiyan un ki bakhshish ki zamanat hain ye kaun si jannat-e-naim hai jis ka rasta chiyuntiyon ki banabi se ho kar guzarta hai darbanon aur kutton ko khuli aazadi hai 'jagte raho' ki sadaen inayaton ka khiraj wasul karte nahin thakti hain circus ka pandal khacha-khach bhara hai maimanon ke bade mein sahama-dubka…ghas khata sher kaisa be-zarar dikhai deta hai baunon ki uchhal-kud falak-shagaf qahqahe…musalsal qahqahe taliyon ki gunj! mahal-sara ke band phatak ko chhu kar laut aati hai basti ke jahan-dida budhe fariyaadi matam karte pandal se rawana ho jate hain