tha andhera har taraf rah bhi milti na thi ek nanha sa diya raushan hua aur andhera chhat gaya ek musafir raat ko kha raha tha thokaren chand ki nannhi kiran chhitki zara aur rasta mil gaya tha pareshan der se ek dahqan dhup mein ek tukda abr ka aaya wahan aur saya ho gaya bagh mein udti thi dhul sare patte zard the ek nannhi si kali chatki jo kali muskura uttha chaman na tha dil mein walwala zindagi khamoshi thi ek nannhi si hansi naghma bani khil uthi dil ki kali ek diya ek kiran ek tukda abr ka ek kali ek nannhi si hansi hain nishan-e-zindagi raushni hi raushni