tum meri khoj mein yun hi tarik ghaaron mathon mabadon khanqahon mein ghut ghut ke mar jaoge main nahin mil sakunga tumhein ab kabhi dharm mein singh mein dhyan mein gyan mein nile sagar ki tah mein utar kar brazil ke jangalon mein bhatak kar himala ki choti pe chadh kar mujhe tum na aawaz do pas ko tyag kar aas ke baam par meri aamad ke lekin raho muntazir main zarur aaunga sukh kar waqt jis din tuda jaega dudh ki tarah aakash phat jaega din ke tukde zamin par bikhar jaenge raat ke sar ka har baal jhad jaega chand suraj sama jaenge jab mere garbh mein aur sara ujala pighal kar andhere mein bah jaega bas usi waqt tum hanpte kanpte nisf lamhe ko hathon mein pakde hue khauf ke kiwade se jhank kar dekh loge mujhe aur main munh se ek qahqaha thuk kar saur-mandal se bahar nikal aaunga is dharaatal ko kha lunga sare samundar ko pi jaunga aur phir dekhte dekhte oxigen mein tabdil ho jaunga in khalaon ke sagar mein kho jaunga