donon hathon mein nangi talwaren saunt kar main andhere par tut pada use tukde tukde kar dena chaha lekin us ne mera har war khali kar diya main ne hath mein banduq utha li aur us par diwana-war goliyan barsane laga socha tha, us ka jism chhalni kar dalunga lekin us mein ek bhi surakh na kar saka phir main ne mishal utha li aur ek zabar-dast irada liye aage badha chaha tha us ka chehra jhulas dunga aur use zinda jala kar rakh kar dunga mujhe yun biphra hua dekh andhera sahm kar pichhe hat gaya lekin dusre hi lamhe us ne zor se phunk mar kar, mishal bujha di phir main ne ek aur mansuba banaya chupke chupke ek surang tayyar ki lekin mujhe guman bhi na tha ki dyna-might ke fite ko aag dikhane se pahle andhera surang mein pani bhar dega aaj meri rukhsat ka waqt aa pahuncha hai log! jab koi nau-jawan, andhere ko lalkare to tum, use meri misal na dena