fasle ki to khair baat hai aur hyderabad dil se dur nahin dilli mein yun zaban pe aai dakan ki baat sahra mein chhed dewe koi jaise chaman ki baat bazm-e-khirad mein chhid to gai hai dakan ki baat ab ishq le ke aaega dar-o-rasan ki baat ek husn-e-dakan tha jo nigahon se na chhuta har husn ko warna ba-khuda chhod gae hum 'azad' ek pal bhi na dil ko sakun mila raste mein dakan bhi tha kahin lucknow ke ba'd 'azad' phir dakan ka samundar hai ru-ba-ru le ja dil-o-nazar ka safina sanbhaal kar