assalam ai azmat-e-hindostan ki yaadgar ai shahanshah-e-dayar-e-dil faqir-e-be-dayar aaj pahli bar teri qabr par aaya hun main be-nawa hun nazr ko be-laus dil laya hun main gardish-e-taqdir ke hathon watan se dur hun ek bulbul hun magar sehn-e-chaman se dur hun shauq aazadi ka mujh ko khinch laya hai yahan aaj dushman hai zamin meri adu hai aasman main bhi hun apne watan se dur tu bhi dur hai han raza-e-pak-e-yazdan ko yahi manzur hai mera daman bhi yahan ki khak se aaluda hai farq sirf itna hai main aawara tu aasuda hai ai shah-e-khwabida ai taqdir-e-bedar-e-watan aaina meri nigahon par hai o bar-e-watan mere dil ko yaad hai ab tak wo sattawan ki jang jis ke ba'd is sarzamin pe chha gae ahal-e-farang meri nazron mein hai merath aur dehli ka zawal jaanta hun main jo tha jhansi ki rani ka maal main nahin bhula abhi anjam-e-nana-farnawis hai nazar mein koshish-e-nakaam-e-nana-farnawis dastan jaise bhi ho guzri wo sab malum hai tere dil-bandon pe jo guzri wo sab malum hai ye watan raunda hai jis ko muddaton aghyar ne jis pe dhae zulm lakhon charkh-e-na-hanjar ne jis ko rakkha muddaton qismat ne zillat-ashna jis ne har pahlu mein dekhi pastiyon ki intiha aaj phir us mulk mein ek zindagi ki lahr hai khak se aflak tak tabindagi ki lahr hai aaj phir is mulk ke lakhon jawan bedar hain hurriyat ki rah mein mitne ko jo tayyar hain aaj phir hai be-niyam is mulk ki shamshir dekh sone wale jag apne khwab ki tabir dekh is tarah larze mein hai buniyaad-e-aiwan-e-farang kha chuke hain mat goya shisha-bazan-e-farang hubb-e-qaumi ke taranon se hawa labrez hai aur topon ki dana-dan se faza labrez hai shor gir-o-dar ka hai phir fazaon mein buland aaj phir himmat ne phenki hai sitaron par kamand phir umangen aarzuen hain dilon mein be-qarar qaum ko yaad aa gaya hai apna gum-gashta waqar naujawanon ke dilon mein sarfaroshi ki umang ishq bazi le gaya hai aql bechaari hai dang aaj phir is des mein jhankar talwaron ki hai kuchh nirali kaifiyat phir des ke pyaron ki hai jo tawanai iradon mein hai kohsaron ki hai zarre zarre mein nihan tabindagi taron ki hai ye nazara aah lafzon mein sama sakta nahin aankh jo kuchh dekhti hai lab pe aa sakta nahin fath-e-nusrat ki duaon se hua mamur hai nara-e-jai-hind se sari faza mamur hai mujh ko ai shah-e-watan apne iradon ki qasam jin ke sar kate gae in shah-zadon ki qasam tere marqad ki muqaddas khak ki mujh ko qasam main jahan hun us faza-e-pak ki mujh ko qasam apne bhuke jaan-ba-lab bangal ki mujh ko qasam hakimon ke dast-parwar kal ki mujh ko qasam lal-qile ke zawal o shahr-e-dehli ki qasam mohsin-e-dehli maal-e-shahr-e-dehli ki qasam main teri khoi hui azmat ko wapas launga aur tere marqad pe nusrat-yab ho kar aaunga tegh-e-hindi jis ka loha manta hai ek jahan jis ki tezi ki gawahi de raha hai aasman tegh-e-hindi jis ko main ne kar diya hai be-niyam jis ka shewa hurriyat-keshi jahangiri hai kaam jis ne puri munsifi ki aaj tak duniya ke sath zulm ki dushman hai jo ek zulm-e-be-parda ke sath har qadam par jis ne baatil ko milaya khak mein jis ke sakhon ki abhi tak gunj hai aflak mein aaj phir apni nazar jis ki chamak se khira hai jis ki tabani se raushan ek jahan-e-tira hai ek jazire ke hasin sahil se jab takraegi chain se mujh ko bhadakti aag mein nind aaegi