fasla

zamana wo bhi tha ab se pahle
kisi khabar ko kahin rasai ke waste ek sadi ka arsa lagana padta tha

us ke ba-wasf
kabhi musafir ko bazyabi nasib hoti thi aur kabhi raste mein dam us ka tut jata tha

masafaton ka tawil dhaga agarche gole mein at gaya hai
tanab dharti ki yun khinchi hai

jahan kahin ho raha hai jo kuchh bhi is amal mein to dusre bhi isi amal mein usi tarah haz utha rahe hain
ye ghar se bahar ke lamhe lamhe se ba-khabar hain

magar unhen apne ghar ki koi khabar nahin hai
kisi ki khatir pados basta hai kale koson

koi khud apne hi ghar mein ek ajnabi hua hai
dilon ki qurbat mein ret duri ki ud rahi hai

ajib sa fasla uga hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close