fasla

hawaen le gain wo khak bhi uda ke jise
kabhi tumhaare qadam chhu gae the aur main ne

ye ji se chaha tha daman mein bandh lunga use
suna tha main ne kabhi yun hua hai duniya mein

ki aag lene gae aur payambari pai
kabhi zamin ne samundar ugal diye lekin

bhanwar hi le gae kashti bacha ke tufan se
mein sochta hun payambar nahin agar na sahi

ki itna bojh uthane ki mujh mein tab na thi
magar ye kyun na hua gham mila tha duri ka

to hausla bhi mila hota sang o aahan sa
magar khuda ko ye sab sochne ka waqt kahan?


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close