baat yun khatm hui dard yun gaya jaise ki sahil hi na tha sare altaf-o-karam bhul gae jaur-faramosh hue raat yun bit gai jaise ki nikla hi na tha matla-e-shauq pe wo mah-e-tamam ashk yun sukh gae jaise ki daman mera us ka aanchal tha wo paimana-e-naz jaane gardish mein hai ki tut gaya main zamane ke kinare yun khada hun tanha jaise ek jast laga hi dunga aur kal baad-e-sahar yun mita degi har ek naqsh-e-qadam jaise is rah se pahle koi guzra hi na tha