sahar ki kaliyan luti hui hain gulon ki shakhen jhuki hui hain hasin talab ke kinare hasin pariyan khadi hui hain ba-zer-e-shakh-e-gul-e-shagufta main surat-e-shama chup khadi hun faza mein koyal ki ek sada hai tamam jangal laraz raha hai hasin duniya ki rahne wali hasin fazaon mein naghma-za hai main misl ek ghuncha-e-fasurda nawa-e-taswir ban rahi hun ye kaun manzar hai pesh-e-duniya ye kaisi duniya hai husn-ara ye kya tamasha sa ho raha hai ye kaise manzar hain jalwa-ara main dil mein taswir khinchti hun nigah-e-hairat se dekhti hun ye kya hai ai meri chashm-e-hairan hai kya tamasha rukh-e-gulistan main kya karun is musawwiri ko mujhe hai uljhan mujhe hai khaljaan idhar udhar ko jo dekhti hun hasin tair hain zamzama-za wo un ka gana ba-sad-masarrat ye kyon nawa hai nawa-e-ishrat ye un ke naghme rabab-e-jannat hain surat-e-shama mahw-e-hairat ilahi is musht-e-par mein chhup kar ada se ye kaun ga raha hai ki dil pe choten laga raha hai jigar mein tisen utha raha hai faza mein naghme luta raha hai mujhe pareshan bana raha hai yeh misl-e-diwar chup khadi hon ye kaun gata hai is ada se faza mein naghmon ki ye nazakat ye phul chun kar hun mahw-e-hairat main kya karun zamzamon ka ya-rab ye hai tajjub ye hi hai hairat 'jamal' hairan-o-pur-tahayyur hai husn-e-duniya faza-e-hairat