b amman se KHitab

ai ki teri zat thi sarmaya-e-ilm-o-amal
ai ki tera har irada tha nihayat hi atal

ai ki tu ek jauhar-e-tegh-e-dil-e-islam thi
teri hasti yaadgar-e-raunaq-e-ayyam thi

tere sine mein bhara tha bahr-e-islami ka josh
tere aaza mein rawan tha ek dariya-e-kharosh

teri rag rag mein wafur-e-joshish-e-sailab tha
tera har jazba ziya-e-gauhar-e-nayab tha

teri hasti shama-e-himmat ke liye aaina thi
zindagi teri charagh-e-millat-e-derina thi

tu ne murda zindagi mein ruh taza phunk di
himmat-e-majbur ko bakhshi hai tu ne zindagi

ek shua-e-nayyar-e-asuda-e-rifat thi tu
is khizan-e-zist mein ek madar-e-millat thi tu

tu ne ramz-e-qalb-e-makhfi aashkara kar diye
mani-e-ilm-o-amal parda se be-parda kiye

muddaa-e-dil tera ek gauhar-e-ummid hai
jo faza-e-tar mein ek shoala-e-khurshid hai

tera har lamha munawwar har ghadi nayyar-ba-dosh
zindagi teri rahe misl-e-charagh-e-zau-farosh

zulmat-e-millat mein chamkae munawwar aaftab
gulshan-e-ummid mein mahka diye rangin gulab

imtihan-e-zist mein tu kis qadar hi kaamyab
har waraq teri kitab-e-umr ka hai khud kitab

aa sukut-e-yas mein mujh ko bana le raaz-dar
aa rah-e-ummid mein mujh ko bana le kaamgar

aa mere kanon mein bhi wo ruh-e-pinhan phunk de
zindagi meri bhi ek mazi ka aaina bane

aa 'jamal'-e-zar ko bhi raazdar-e-dil bana
zindagi is ki bhi ek barq-e-dil-e-bismil bana


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close