kya raat mein bistar khali rakhna achchha hota hai bahut tandahi se kaam kar rahe ho zara bhi idhar nahin dekh rahe dekho idhar dekho yahan jahan main padi hui hun tumhaari paintings ki kitabon ki tarah jinhen tum ne kal ke liye utha rakha hai thik hai kah lo mujhe be-sharm ab sirf ye underwear baqi hai use bhi utar phenkun to kya tum mud ke dekh loge dekho main apni underwear bhi tumhaari taraf phenk rahi hun kal bhi tum ne yahi kiya tha main tumhaare intizar mein lete lete so gai aur nind mein tauba tumhein apna khwab sunate hue bhi mere pasine chhut rahe hain khwab mein bahut se log ek bull se meri ladai dekh rahe hain wo apni singen mere jism ke har hisse se takra raha hai mein khauf-zada hote hue bhi us ki singon ke war apne jism par padte hue khush ho rahi hun tamam tar aziyyat ke bawajud lazzaton ke lahu mein nahai hui lahuluhan hote hue ek bar main ne use apne upar chadha hi liya singon ko pakadte hue meri aankh khul gai main zamin par chit padi thi tumhaari masrufiyat ne to meri jaan hi le li hai