hamein basarat se mahrum kar diya gaya hai ya manzar se husn ghaeb ho gaya hai ek la-mutanahi siyah parda hai jis se matami libas tayyar kiya ja sakta hai aur ehtajaji pattiyan banai ja sakti hain hamein ek suraj darkar hai jis se moattal bahaar ke phul khilae ja saken jahaalat ke parde mein chhupa ek din tulua ho sake oxygen khatm hone se pahle hamein nae darakht lagane hain purane darakhton ko aiwan-e-sadr ki tamir mein istimal kiya ja sakta hai hamein guzishta se ziyaada aainda ki fikr karni chahiye isi aainda mein hamare bachchon ko zinda rahna hai