main jab us shahr ka qasd karta hun tumhaari aankhen mera rasta rok leti hain tum jaanti ho mera wahan jaana zaruri hai wahan mere log hain jin se mera mukalima kai sadiyon se band hai mujhe us shahr ko jaana hai magar is shahr ke bagh aur parinde mere panw pakad lete hain khush-andam do-shizaon ke sinon ke gulab meri be-tabiyon ke liye khud ko wa kar dete hain mujhe us shahr ko jaana hai magar is shahr ke sab se bade tajir ne meri aarzuen mere khwab mera sara asbab-e-safar kharid liya hai