amal kuchh hai zaban-e-baghban kuchh aur kahti hai nai aab-o-hawa-e-gulistan kuchh aur kahti hai bharosa kya karen ahl-e-gulistan lala-o-gul par anadil ki zaban-e-pur-bayan kuchh aur kahti hai na hota koi dar sayyaad-o-gulchin ka nasheman mein magar ghaflat teri ai pasban kuchh aur kahti hai sunati hain bahaaren hum ko paigham-e-tarab lekin bahaaron ke pas-e-parda khizan kuchh aur kahti hai sitamgar main nahin kahta sitamgar tum nahin lekin dil-e-mazlum ki aah-o-fughan kuchh aur kahti hai sanbhal kar chal na ho be-rah-rau shauq-e-qayaadat mein teri azmat amir-e-karwan kuchh aur kahti hai wafa-na-ashna jo mujh ko kahte hain zara sochen mere ahd-e-wafa ki dastan kuchh aur kahti hai ye mana kar rahe hain pasbani pasban lekin chamak kar barq gird-e-ashiyan kuchh aur kahti hai chaman walo wafaon par tum apni naz karte ho nigah-e-kaj-ada-e-baghban kuchh aur kahti hai wafadari ba-shart-e-ustuwari asl-e-iman hai magar meri zaban-e-be-zaban kuchh aur kahti hai mayassar hai hamein aazadi-e-sair-e-chaman lekin 'razi' har waqt fikr-e-ashiyan kuchh aur kahti hai