uthao saz ki abr-e-bahaar baqi hai abhi to bazm mein kaif-o-khumar baqi hai abhi abhi to faza muskura ke jagi hai abhi to shauq-e-dil-exbaada-khwar baqi hai abhi na jao bahaaren bhi laut jaengi abhi to sehn-e-chaman ka nikhaar baqi hai abhi to anjuman-e-mehr-o-mah bikne do abhi naqab-e-rukh-e-husn-e-yar baqi hai abhi na shama bujhao mere shabistan ki thaki si aas sar-e-rahguzar baqi hai abhi to jag rahi hai nigah-e-afsurda abhi kisi ka use intizar baqi hai abhi to dur kahin baj rahi hai shahnai kisi hasin dulhan ka singhaar baqi hai abhi to saz hai sargam hai raat apni hai faza hasin hai jahan naghma-bar baqi hai abhi mujhe na kaho dastan-e-gham ai dost ki zindagi pe abhi e'tibar baqi hai kisi ne chhed diye aah phir khizan ke git sisak rahi hai tamanna tadap utha sangit