hare darakhton se aag barse nigar-khanon mein khar-o-khas hain chamakte patton ke damanon par lachakti dalon pe tahniyon par gulon ki lali mein kar-farma lahu shahidon ka har taraf hai alaw jhilon mein the kanwal ke wo rakh jal ke hue hain kab ke diye bujha kar kanwal ki thaali dukan-e-sangin-o-bam sajae ajal ke qasid ki muntazir hai wo khushbuon ke latif lahre kahin nahin hai nishan un ka nai hai kheti nai hain faslen ugenge kheton mein top gole kahin pe goli ki baaliyan bhi kahin ugengi saron ki faslen kahin pe dast-e-hina ugenge kahin pe chashm-e-ghazal-asa kahin pe zulf-e-dota ugegi kahin zaban-e-burida hogi kahin tarashida pa ugenge jo aaj boenge kal ugega hawa ka samra bagule honge sharar se shoale uga karenge magar jo khirman hain zulmaton ke kabhi to un par itab hoga kabhi to barq-e-tapan giregi kabhi to roz-e-hisab hoga kabhi haqiqat-shanas uth kar bataenge ye lahu hai kis ka ye kis ke lashe hain aise aakhir ki baad sadiyon ke khanda-lab hain