jin ko duniya mein kisi se bhi sarokar na tha ahl-o-na-ahl se kuchh khalt unhen zinhaar na tha un ki khalwat se koi waqif-o-ham-raaz na tha aadmi kya hai farishte ka bhi wan bar na tha wo gali-kuchon mein phirte hain pareshan dar dar khak bhi milti nahin un ko ki dalen sar par aish-o-ishrat ke siwa kuchh bhi na tha jin ko yaad lut gae kuchh na raha ho gae bilkul barbaad tukde hota hai jigar sun ke ye un ki fariyaad phir bhi dekhenge ilahi kabhu dehli aabaad kab talak dagh-e-dil ek ek ko dikhlaen hum kash ho jae zamin shaq to sama jaen hum roz wahshat mujhe sahra ki taraf lati hai sar ho aur josh-e-junun sang ho aur chhati ho tukde hota hai jigar ji hi pe ban jati hai mustafa-khan ki mulaqat jo yaad aati hai kyunki 'azurda' nikal jae na saudai ho qatl is tarah se be-jurm jo sahbai ho