yun waqt guzarta hai fursat ki tamanna mein jis tarah koi patta bahta hua dariya mein sahil ke qarib aa kar chahe ki thahar jaun aur sair zara kar lun us aks-e-moshajjar ki jo daman-e-dariya par zebaish-e-dariya hai ya baad ka wo jhonka jo waqf-e-rawani hai ek bagh ke goshe mein chahe ki yahan dam lun daman ko zara bhar lun us phul ki khushbu se jis ko abhi khilna hai fursat ki tamanna mein yun waqt guzarta hai afkar maishat ke fursat hi nahin dete main chahta hun dil se kuchh kasb-e-hunar kar lun gul-ha-e-mazamin se daman-e-sukhan bhar lun hai bakht magar wazhun fursat hi nahin milti fursat ko kahan dhundun fursat hi ka rona hai phir ji mein ye aati hai kuchh aish hi hasil ho daulat hi mile mujh ko wo kaam koi sochun phir sochta ye bhi hun ye sochne ka dhanda fursat hi mein hona hai fursat hi nahin dete afkar maishat ke
This is a great guru thakur shayari. True lovers of waqt shayari in hindi will love this. Please share if you liked this!!!