ghas ke sabz maidan to rah gae hain faqat khwab mein mera bhaari badan chaaron pairon ki tahrik par uth ke chal to pada hai in aawara galiyon ki angdaiyon mein magar shahr ki daudti phirti sanson se takra ke mismar hone lagi hai meri har ada ab to aawara galiyon ki parchhain mein makkhiyan shauq se kar rahi hain zina meri maghmum aankh ke aflak par apni dum ko hila kar karun kab talak aankh tedhi udanon ko sidhi bata raston par bhatakte hue ruh ki parwarish ke liye do jahanon ke kaghaz ko munh mein musalsal chabaati hun main sari ummat ki man ban ke apne hi phailao mein baith jati hun main ab ke jab mujh ko man hi banaya gaya to phir us muqaddas badan mein jo ghar kar gae hain in andhe sahifon se nikle hue dudh ke chand qatre piyo aur apne sarabon ki gahraiyon mein jiyo