rahbar desh-bhagti ka wo shah tha ek langoti ka wo pyar ke wo lutata tha phul tha ahinsa usi ka usul narmi se zindagi tang ki us ne angrezon se jang ki hausle ho gae un ke past aan pahunchi jo pandrah august dil har ek shad ho hi gaya desh aazad ho hi gaya dosti ka sabaq de gaya mar ke jawed wo ho gaya phir karen yaad us ke usul aur chadhaen aqidat ke phul