mujhe malum hai tum ne mujhe bachpan se pala tha bahut raaton ko tum jage the aur tum ne meri aankhon mein apne khwab rakhe the kabhi jatak kathaen dastanen aur kabhi tarikh ke qisse sunae the mujhe harfon ko jab pahchanna aaya tha tum ne sab sahife aur wo sari kitaben jo tumhaara zindagi-bhar ka asasa thin mujhe padhne ko di thin aur wo tum the mujhe chaaron dishaon mein safar karna sikhaya main kabhi kashi kabhi mathura kabhi makke madine ghumta rahta kabhi baghdad istanbul pahuncha aur kabhi main ne samarqand-o-bukhara mein qadam rakkha kabhi main isfahan aur najd-o-kufe mein phira jab muddaton ke baad wapas laut kar aaya to gautam ja chuke the ram ayodhya mein nahin the tum kisi ek qabr mein soe hue the aur mere sath ganga ro rahi thi