purani baat hai lekin ye anhoni si lagti hai suna hai jab kabhi shahr-e-saba ke haji-baba apne shagirdon ko dars-e-akhiri dete saron par un ke dastar-e-fazilat bandhte kale amamon mein sab hi shagird saf-basta khade ye ahd karte the khudawanda hamare ilm mein to khair-o-barkat de hamein taufiq de hum haji-baba ki tarah shahr-e-saba ke chaar konon mein nae maktab banaen dars-gahon ki bina dalen suna hai haji-baba apne shagirdon ko chaar hisson mein jab taqsim karte to zamin ke chaar konon se sada-e-marhaba aati har ek su mushk ki khushbu faza mein phail si jati bahut din baad phir aisa hua tha haji-baba ne zamin ke chaar konon se dhuan uthte hue dekha jale harfon ki ruh matam-kunan shahr-e-saba mein muddaton phirti rahi tanha suna hai phir kabhi shahr-e-saba ke haji-baba ne dar-e-maktab nahin khola kisi par koi kala amama phir nahin bandha