ganw aur rail

mere ganw mein aai rail
bachcho nahin ye koi khel

baat hai mere bachpan ki
shayad unnis sau pachpan ki

mere dil ki uljhan ki
ganw mein kaise aai rail

bachcho nahin ye koi khel
mere dada kahte the

kalkatta jo rahte the
ganw wale hanste the

wahan sadak par chali rail
bachcho nahin ye koi khel

kalkatta jaana tha mushkil
rail to milti chal kar paidal

tis mil par tha jo signal
mushkil ko sab jate jhel

bachcho nahin ye koi khel
bade log jab jaana sochte

raat mein bail-gadi ko jot-te
raste mein jab daku rokte

chhod ke gadi bhagte bail
bachcho nahin ye koi khel

aazadi ne dad mitaya
ganw ko shahron se milaya

ummidon ka phul khilaya
sada hari rahe ye bel

bachcho nahin ye koi khel
dilli mein anshan hue

rail ke tab naqshe bane
babu ji jab ban gae

markaz mein wazir-e-rail
bachcho nahin ye koi khel

shahr se sab kuchh rail se late
dibbon ko nuqsan pahunchate

chori karte pakde jate
jo pakdae jate jail

bachcho nahin ye koi khel
mushkil din sab kat jate hain

lekin wo din yaad aate hain
ab to sab collage jate hain

pakad ke bombay-mail
bachcho nahin ye koi khel


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close