mere gham-KHwar

ye jo mere gham-khwar hain yaro
bahut bade makkar hain yaro

surat se kaam aane wale
andar se be-kar hain yaro

daulat in ka din aur iman
matlab ke sab yar hain yaro

gul ki khushbu bech ke ab ye
gulshan se bezar hain yaro

ye sach-much ghaddar hain yaro
ye jo mere gham-khwar hain yaro

baaton mein sharmate hain
har qimat par bik jate hain

din se jo begana kar den
aisi baaten samjhate hain

hamdardi ka dhong racha kar
tarsate hain tadpate hain

chikni-chupdi baaten kar ke
zehnon ko bhi uljhate hain

ulti sidhi tahriron ke
rang dikha kar bahkate hain

pakke duniya-dar hain yaro
ye jo mere gham-khwar hain yaro

dekhun in fankaron ka fan
saf nahin hai jin ka daman

soz-e-haqiqat naghma naghma
shoala shoala chilman chilman

husn ki ruswai ka bais
ishq wafa tahzib ke dushman

kitne pyare hamsae hain
alag alag bhi shaikh-o-barahman

kitne pyare hamsae hain
alag alag bhi shaikh-o-barahman

na-danon ko ras nahin hain
insani rishton ke bandhan

apnon se bezar hain yaro
ye jo mere gham-khwar hain yaro

insanon ki shan alag hai
din alag iman alag hai

waqt ki sarson phul rahi hai
jism alag hai jaan alag hai

apne saz aur apni dhun mein
jine ka saman alag hai

apni apni saf ke andar
munshi aur dahqan alag hai

sab ke thekedar hain yaro
ye jo mere gham-khwar hain yaro

dukh dete dukh pate bhi hain
khate bhi hain giraate bhi hain

jaan ke dushman hamdardi ki
baaton ko dohraate bhi hain

dagh jo in ke daman par hon
daulat se dhul jate bhi hain

amn ki khatir aane wale
zulm hazaron dhate bhi hain

phul-numa ye khar hain yaro
ye jo mere gham-khwar hain yaro


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close