ye des muflis-o-nadar kaj-kulahon ka ye des be-zar-o-dinar baadshahon ka ki jis ki khak mein qudrat hai kimiyai ki ye naiban-e-khudawand-e-arz ka maskan ye nek pak buzurgon ki ruh ka madfan jahan pe chand sitaron ne jubba-sai ki na jaane kitne zamanon se is ka har rasta misal-e-khana-e-be-khanuman tha darbasta khusha ki aaj ba-fazl-e-khuda wo din aaya ki dast-e-ghaib ne is ghar ki dar-kushai ki chune gae hain sabhi khar is ki rahon se suni gai hai bil-akhir barahna-pai ki