sarapa aag ka mitti ke paikar ko ghulae ja raha hai zamin ke jism ka saya khalaon se palat kar usi ke apne aadhe jism ko har lamha kala kar raha hai yahi jadu musallat hai azal se kai pagdandiyon ka jal sa phaila hua hai guzargahon ke kuchh shaffaf kuchh mauhum khake hamein garm-e-safar rakkhe hue hain sarapa aag ka