aao naya mansuba banaen duniya ko ek rah dikhaen jang ke baadal dur karen hum zulmat ko pur-nur karen hum amn ka parcham lahraen hum na-samjhon ko samjhaen hum zulm ki har buniyaad mitaen aao naya mansuba banaen sukh rahi hai dali dali zard hai baghon ki hariyali koyal bulbul chup hain sare titli bhanwre hain dukhyare sukhi hui kaliyon ko khilaen aao naya mansuba banaen jag-mag jag-mag rangin raaten suraj ki dilkash saughaten ambar ke sansar mein ja kar taron ke bazar mein ja kar pyare chanda ko dekh aaen aao naya mansuba banaen ammi baji dadi nani kahti hain bhuton ki kahani 'kaifi' aur 'sahir' ke tarane aao chalo un sab ko sunane aur apne bhi git sunaen aao naya mansuba banaen duniya ko ek rah dikhaen