in ke zehn un ki purani lakiron mein dub rahe hain wo apni dubti sanson ke andhere kamron mein hath panw mar rahe hain un ki soch ka zakhmi kohan makkhiyon ki bhunbhunahat se larzida hai unhen nae buton se nafrat hai wo purane buton ki parastish mein nae paida hone wale bachche ka gala ghontna chahte hain ki aazadi ki aawaz is ke halq se nikal kar un ke kapdon ko ujla na kar de wo ujle-pan ki peshani se darte hain ki wo purane khudaon ki parastish mein apne aap ko bhul gae hain aur aane wala bachcha sadiyon purane darakht ki tahni par baitha muskurahat ki jhilmilahat mein garm hathon ki shakhon mein naha raha hai