hamein ab tak teri kuchh bhi na kahne wali aankhon se ye shikwa hai jo kamsin khwab in aankhon mein manzar kadhte the wo kabhi tere labon ke phul bante aur hamare daman-e-izhaar mein khilte hamein in muskuraate chup labon se bhi shikayat hai hamare sher sun kar khilkhilate the magar kuchh bhi na kahte the na jaane aise lamhon mein teri sochon pe kya kya rang aate the tujhe hum se chhupane ke bhi to sab dhang aate the hamein teri mohabbat se bhi shikwa hai samundar jaisi gahri thi magar aankhon ke chhagal se chhalakti thi jo hum aise faqiron ke dilon par is tarah barsi ki hariyali ne ghar aur dasht ki pahchan se begana kar ke rakh diya hum ko ye duniya sirf tere husn ki tajsim lagti thi so hum bhi aur hamare khwab bhi aankhen bhi chehra bhi sabhi kuchh teri khatir tha magar teri mohabbat ne hamein is chup chapne khel mein jo dukh diye ab tak unhen teri sarab aankhon se aaina misal ek guftugu ki aarzu hai ru-ba-ru jaanan