raushni par dhund ki tah aaine ke naqsh phike shishe ke us par ibham-e-mujarrad khidkiyon par aansuon ki badh muraten hon suraton se jaise aari pighle chehron se thi har taswir bhaari aur sukut bojh ho goya basarat par nami khidki khulte hi magar banhen phaila kar hawa ne badh ke aankhen chum lin aainon ke aansu ponchhe rang dhoe shishe ki tar-damani ka qatra qatra khinch dala khidki khulte hi wo sari dhund jaise raqs karti baadalon ki or lapki muzmahil chadar nazar ki hatte hatte hat gai raushni phir manzaron se pat gai