khwab hai ya koi tasawwur hai ye tawazun ye fikr ka mizan itna gahra khamosh aawaza har taharruk ba-qadr-e-andaza be-hisari ka ye madum hisar kaenaton ka be-shumar shumar qulzum-e-be-kanar ka aalam aalamon ke ghubar ka aalam kahkashaon ke haar la-mahdud mehr-e-be-ikhtiyar la-mahdud behad-o-be-hisab sayyare dagh be-dagh be-panah tare aisa be-ant hai khala kyunkar ye khuda gar hai ye khuda hai gar is haqiqat ki kya haqiqat hai juz tasawwur kahan ye wusat hai