sardi guzri garmi aai sath mein apne halchal lai garm hawa har-su chalti hai suraj se dharti jalti hai insanon ka haal bura hai haiwanon mein hashr bapa hai jhulas rahe hain ped aur paude pighal rahe hain barf ke tode sukh gae hain naddi nale pad gae sab ki jaan ke lale utra hua hai sab ka chehra ghar ke bahar lu ka khatra dhund raha hai har ek saya garmi ne itna garmaya thanda pani lassi sharbat badh gai in se sab ki chahat lemun ka ras aam ka patta khate hain sab shauq se ganna pankha tezi se chalta hai jism magar phir bhi jalta hai sab ki zaban par pani pani bhej de maula barkha-rani