did hi did hai ai umr-e-rawan kuchh bhi nahin ye jahan kitna hasin hai ye jahan kuchh bhi nahin ye tabassum ye takallum ye tamasha ye nigah yun to sab kuchh hai yahan aur yahan kuchh bhi nahin tere abru se siwa wo nigah-e-tishna-e-khun tir jab nikla kaman se to kaman kuchh bhi nahin umr ke fasle tai kar na saka jazba-e-shauq khun-e-dil kuchh bhi nahin qalb-e-tapan kuchh bhi nahin dhundhiye chal ke kahin umr-e-guzishta ka suragh kashti-e-dil ke liye sail-e-zaman kuchh bhi nahin in nazaron mein nazar apni bhi jaanib 'masud' wadi-e-gul mein ba-juz dil ka ziyan kuchh bhi nahin