husn jab afsurda phulon ki tarah pamal tha jab mohabbat ka ghalat duniya mein istimal tha be-khudi ke nam par jab daur-e-jam-e-baada tha jab taljalli-e-haqiqat se har ek dil sada tha zist ka aur maut ka idrak duniya ko na tha zulm ka ehsas jab be-bak duniya ko na tha band aankhen kar ke is duniya ke makruhat se tu ne hasil ki ziya-e-dil, tajalliyyat se barf-zaron ko tere anfas ne garma diya tere istighna ne takht-e-saltanat thukra diya yaad teri aaj bhi hindustan mein taza hai chin, japan aur tibbat tak tera aawaza hai raushni jis ki na hogi mand wo mashal hai tu sar-zamin-e-hind ka irfani-e-awwal hai tu