meri holi

kash hasil ho haqiqi zindagi ka ek din
sarkhushi ka ek lamha ya khushi ka ek din

kar diya hai shorish-e-alam ne diwana mujhe
hai basate dahr-e-wahshat-nak virana mujhe

ek nai duniya ki khilqat hai meri takhlai mein
jo muawin ho sake insan ki takmil mein

ehtimam-e-zindagi jis mein ba-taur-e-khas ho
aasman jis ka mohabbat ho zamin ikhlas ho

kirshn ki aaj yaad-e-rafta mahfil-e-zinda karo
brij-o-gokul ki bujhi shamon ko tabinda karo

khushki-e-gang-o-jaman ki aabiyari ke liye
dawaten do gopiyon ko rang-bari ke liye

az-sar-e-nau phir murattab ho jahan-e-rang-o-bu
khar-o-khas se phir ho paida kar-khane rang-o-bu

prem-ras se lao bhar kar khushnuma pichkariyan
hon nai daman-e-hasti par latafat-bariyan

ruh ki aawaz hum aaenge saz-o-chang ho
jo pade insan pe wo insaniyat ka rang ho

chahta hun yun ho rangin pairahan aur sariyan
shust-o-shu se bhi na zail ho saken gul-kariyan

jism ki surat rahe dil bhi masarrat mein sharik
ruh-e-azadi bhi ho jae haqiqat mein sharik

chahta hun gulshan-e-kohna par aa jae shabab
tinka tinka phul ho aur patta patta aaftab

tazgi wajh-e-shaguft-e-khatir-e-alam rahe
meri duniya mein hamesha ek hi mausam rahe

shair-o-sannaa ho fikr-o-khalish se be-niyaz
khwaja-o-mazdur mein baqi na ho kuchh imtiyaz


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close