gawahi de raha hun, ab se kuchh pahle junubi shahr ke us par main dekha gaya tha ab jahan par khushk pedon ke ghane jangal hain, sune tang raste jhadiyan hain aur lambe zard, jali-dar patton mein hawaen sarsaraati hain gawahi de raha hun, ab se kuchh pahle, jo apne hi lahu mein dubta dekha gaya tha, wo koi mafrur qaidi tha jise main jaanta hun, ab se kuchh pahle, jo mere zehn ke tapte hue sahra mein bhaga phir raha tha jis ki khwahish thi: kahin thandi ghaneri ghas par, apna libas-e-khak-o-khun rakh kar gul-e-manzar mein kho jae gawahi de raha hun: ab se kuchh pahle, wo nannhi, shokh ladki thi gilahri si phudakti phir rahi thi aam ke sarsabz sayon mein use malum tha shayad ki us ki chhatiyon mein main dhadakta hun main dhadkan ban gaya tha us ke sine mein machalta tha wo mera jism thi shayad use malum tha: main har gul-e-manzar mein hun aur raat din us ka taaqub kar raha hun ab se kuchh pahle junubi shahr ke us par jo dekha gaya tha main nahin tha khoj mein meri wo nannhi shokh ladki thi gawahi de raha hun ab se kuchh pahle