maut ki pur-sukut basti ko de ke ek zindagi ka nazrana log apne gharon ko laute hain sab ke chehre hain fart-e-gham se nidhaal sab ki aanhken chhalak gai hain aaj phir bhi sarhad mein shahr ki aa kar hanste bachchon ko khelta pa kar dekh kar zindagi ke hangame aisa mahsus kar rahe hain sab jaise afsurdagi ke sahra se koi aawaz de ke kahta ho maut ke intizar mein jina maut se bhi badi aziyyat hai zindagi lakh aarzi ho magar zindagi jagti haqiqat hai