main mohabbat ke sitaron se nikalta hua nur haq-o-nahaq ke libaadon mein chhupa ek shuur mere hi dam se hua masjid-o-mandir ka zuhur main musalman-o-barahman ke iradon ka futur main haya-zadi-o-khush-nain ke honton ka surur kisi majbur tawaif ki nigahon ka qusur meri khwahish thi ki main khud hi zamin par jaun aur zamin-zad ka khud ja ke main anjam karun wo zamin-zad ki ehsan-faramosh hai jo wo zamin-zad ki jo khud hi zamin par utra aur zamin wo jo wafadar nahin ho sakti wo zamin jis pe kai khun ke ilzam lage wo zamin jis ne yahan dekhe hain katte hue sar wo zamin deti rahi hai jo gunahon ko panah wo zamin jis ne chhupae hain kai raaz-o-niyaz sazishen hoti rahin jis pe mohabbat ke khilaf aur wo chup hai ugalti hi nahin ek bhi lafz masala ye hai ki ab kis se gawahi mangun