hamari majlis-e-shura ke unche unche mahal nazar jhukae jumud-e-amal se sar bojhal wo bebasi ki zara aage badh nahin sakte kitab-e-waqt ki tahrir padh nahin sakte bhadak rahe hain nigahon ke samne shole zaban na munh mein ho jis ke wo kis tarah bole ye shahr-e-dilli bahisht-e-nazar jo tha kal tak bana hua hai jahannam zamin se ta-ba-falak siyah-shole dilon ki siyahiyan le kar uthe hain aaj watan ki tabahiyan le kar makan ko khud hi makinon ne kar diya barbaad mita di apne hi hathon se satwat-e-ajdad khud apni teghon se apne hi gardanen katen tadapti lashon se nafrat ki khandaqen paten tamam shahr pe chhai hui hai ek wahshat nazar jhapakte hi kaisi badal gai haalat dukanen lut rahi hain goliyon ki barish hai siyahkaron se ahl-e-duwal ki sazish hai darinde daudte phirte hain sadti lashon mein lahu se tar kiye nakhun gosht danton mein gharon ka haal to bazar se bhi bad-tar hai jidhar uthao nazar zindagi mukaddar hai jo lut chuke hain wo ghar saen saen karte hain jo jal rahe hain abhi sard aahen bharte hain nikal pade hain makanon ko chhod kar shahri jab aabru pe ban aai to maut ki thahri hazaron auraton ka aaj lut raha hai suhag na jaane kitni tamannaon mein lagi hai aag yatim bachche bilakte hain godiyon ke liye gharib shahr taraste hain rotiyon ke liye ujad ke kitne maabid bane siyah-khane jo aadmi ko na samjha khuda ko kya jaane ye haal dekh ke sakte mein aa gai hai fasil tamam qile ka maidan bana hai khun ki jhil bahae baithi hai aansu lahu ke chandni-chowk karol-bagh ke dil mein qaroliyon ki nok purani dili se bhi badh gai nai dilli purane qile mein ja kar basi nai dilli hazar bar ye basti ujad ujad ke basi hazar bar ye dilli bigad bigad ke bani magar kuchh ab ki dafa is tarah ke charke hain ki jitni choten hain utne hi dil ke tukde hain ye jud to sakte hain lekin kahan hai wo marham jo tute rishton ko qaumon ke kar de phir baham magar ye kaise ho jab chaarasaz khud lachaar ilaj kaun kare jab tabib khud bimar hamari majlis-e-shura ke unche unche mahal nazar jhukae jumud-e-amal se sar bojhal