ek din 'ghaalib' ke padh kar sher mary ahliya mujh se boli aap to kahte the in ko auliya aashiq-e-bint-e-enab ko aap kahte hain wali faqa-masti mein bhi har dam kar raha hai mai-kashi pujne se mah-jabinon ke ye baz aata nahin aur phir kafir kahe jaane se sharmata nahin koi bhi mahwash akele mein agar aa jae hath chhedkhwani kar diya karta tha aksar us ke sath bad-gumani ka agar mahbub ki hota na dar us ke pairon ka wo bosa leta rahta raat bhar koi rakhta tha agar us se zara sharm-o-hijab roab dikhlane ko us se kah diya karte janab ham se khul jao ba-waqt-e-mah-parasti ek din warna hum chhedenge rakh kar uzr-e-masti ek din gar kisi mehman ke aane ki hoti thi khabar boriya tak bhi nahin hota tha us nange ke ghar is liye chhai hui thi us ke ghar mein muflisi kal ke dar se aaj pine mein na karta tha kami mai-kashi ko gar koi saqi nahin deta tha jam ok se pi kar hi wo apna chala leta tha kaam marte marte bhi sharab us ki na ho pai thi kam jam ko takta raha jab tak raha aaankhon mein dam us ke is kirdar par mujh se na karna guftugu khak mein jis ne mila di khandani aabru is qadar pahunche hue shaer ka ye kirdar hai sher kahna chhod dije shaeri be-kar hai is se pahle ki mera barbaad ho jae ye ghar aap bas ghar mein rahen sher-o-adab ko chhod kar mai-kashi aur aap hon matlub-o-talib ki tarah sochti hun aap ho jaen na 'ghaalib' ki tarah
This is a great nizamuddin auliya shayari. True lovers of mary christmas shayari will love this. For some people shayari is the most enjoyable thing in life and they absolutely adore punjabi maa boli shayari. Please share if you liked this!!!