chand sitare phul banafshi patte tahni tahni jugnu ban kar udne wali barf lakdi ke shaffaf waraq par mor ke par ki nok se likkhe kale kale harf ujli dhup mein ret ke raushan zarre aur pahadi darre abr-sawar suhani sham aur sabz qaba mein ek pari ka jism surkh labon ki shakh se jhadte phulon jaise ism rang-ba-rang tilism jhil ki tah mein dubte chand ka aks dhol ki wahshi tal pe hota nim-barahna raqs! kaise kaise manzar dekhe ek karod baras pahle ke ghaar mein baitha shakhs!!