mehrbani raat ka pahla pahar hai subh-e-zindan ki halakat sham wahshat-gar ki maut wajibuttazim hai wo shakhs jo pahle mara khisht se kuza ghanimat kuza-e-wahshat se wahshat-gar ki khak khak se aab-e-namak barishon mein main namak ka ghar banaun barf-bari mein purane bans ka tasht mein sindur chhide sikke saja kar beach raste par rakhun raat ke kohre mein khidki khol kar dekhun use subh tak murda parinde dopahar tak us ke hone ka guman sham phir kohra khuli khidki parinde us ke aangan ki wahi ham-saegi wo nahin marta jo pichhli raat tak jaga kiya mehrbani raat ka pahla pahar hai ladkiyon ne ghas par nazmen likhin pasi ke matke tod dale aanganon mein git gae ghar gain bashon mein dhup si us aankh ne dekha mujhe kis ko jangal chahiye kis ko samundar chahiye ye haya-alud sham khidkiyon se khidkiyon tak jhilmilati ja rahi hai qissa-gar zindan se chal kar aae hain aanganon ko saf kar lo ladkiyon ko sham ka khana khila do sham se pahle sula do wahshaton ki nind kachchi aankh ko zeba nahin sham khwab-e-qissa-gar hai qissa-e-zindan-e-sham mehrbani raat ka pahla pahar hai