ghaddar

bhuk ghaddar hai
bhuk mein pet par hath rakhna gunah

pyas ghaddar hai
pyas mein aasmanon ko takna gunah

lafz ghaddar hain
sach mein lipte hue

justuju ke nae raste kholte lafz ghaddar hain
sach bhi ghaddar hai

fahm-o-idrak deta hua sach kisi dusre mulk ka koi jasus hai
khwab ghaddar hain

zindagi ko nai karwaten bakhshne wale sare tasawwur
nai justuju ke qarine

nae raste par uthae gae sab qadam sab sawalat ghaddar hain
waqt ghaddar hai

waqt ka saz-o-ahang bhi aur nai lai par ugti sadaen bhi khatraat hain
bhuk ke raj par

khauf ke aaj par
gham ki aawaz par

nachne wale sari madari muhibb-e-watan
des mein basne wala har ek sach-pasand

zulm-o-wahshat se duri par har kar-band
sans lene ka haq mangne wala har naujawan

zindagi ki ramaq khojne wala har khandan
sare ghaddar hain

sare jasus hain
hakim-o-sipah-salar-o-ashrafiya

ke ishaaron pe na nachne wale kuffar hain
naqidin sazishi

sochne wale
gustakh hain

aur wo sare qalamkar
agnet hain

jo nigun-sar nahin
wo jinhen fitrat-e-sabz ne

jaan-fishani se logon ke chehron pe ugti thakan
wahshaten tirgi

dur pur-shor ki sachchi tarikh mein tonic dene ki gustakhiyon
ka jarida kiya

aayat-e-muflisi se koi sar-kashi
gumbad-e-tishnagi par shikayat koi

mazhab-e-tira-bakhti ki tauhin hai
apni dharti ke gale se apne liye koi hissa talab karna ilhad hai

aur waise bhi gandum to shaitaniyat hi ki ijad hai
bhuk ghaddar hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close