lamha

ek sulgi hui si dhadkan par
kapkapate larazte honton se

jism bhar par huruf ugte hain
khamushi ko zaban milti hai

lau pighal kar badan mein ghulti hai
ruh mein aks ugne lagte hain

aaine par sarab chalte hain
qatra qatra pighalte jazbon par

rafta rafta phuwar padhti hai
waqt ki nabz tez chalti hai

har gunah-o-sawab se aage
aayat-e-be-khudi ki sarhad par

barf se bhap tak ke raste par
qurb-e-tahliliyat ki manzil par

wasl-e-malumiyat ke hasil par
ek lamha thahar sa jata hai

zindagi sirf ek lamha hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close