barson baad jab us ko dekha phul sa chehra badal chuka tha peshani par fikr ki aayat aankhen ab sanjida thin hont kanwal ab bhi waise par shadabi kuchh kam kam thi pakke phalon ka bojh uthae jism tana bal khata tha rangin pairahan mein ab bhi khwab ki surat lagti thi jaane kaisi kaisi hikayat dekh use yaad aati thi pahli dafa jab sath the baithe class ke andar hum donon us ke jism ke lams ne mujh ko pahle to bulaya tha phir pakka dost banaya tha sham talak mele mein kaise phirte rahe the idhar-udhar raat gae mammy ne us ko khoti-khari sunai thi rail ke andar baith ke kaise sharmae ghabrae the baghair ticket ke pahunch ke ghar par kitni mauj manai thi dopahar ko dhabe mein chae aur cigarette ke sath thode se rumani ho kar kya kya baaten karte the ghar ke bahar lawn bhi hoga genda aur gul-mohar ke phul khari khat nahin rakhenge bed bade mahnge honge suit mera aisa hoga teri sari resham ki bete ka jo nam rakhenge hindu na muslim hoga bil chukate waqt mein aksar paise kam pad jate the dekh ke daddu hansta tha phir jaane kyun khush hota tha koi baat nahin hai bete kal jab aao de jaana jate hue jab seth ne us ki kamar mein bazu pahnaya dekh ke us ki aankhen mujh ko chhalak padi thin chup ke se soch raha tha palat ke ab wo puchhegi tum kaise ho ye hai aap ki coffee sahab aur bhi kuchh chahiye hoga